
" Boht muddat k bad kl shab
kitab-e-maazi ko mein ne khola
bht se chehray nazar mein utray
boht se naam'on pe dil paseeja
aik safha aisa bhi aaya
likha hoa tha jo aansu'on se
unwan js ka tha "YAAD TERI"
Safha woh sb se hi Moatbar tha
khwahisho ka aik nagar tha
kch aur aansu us pe tapkay
kch aur thora sa dil paseeeja
Kitab-e-maazi ko band kar k
tere khayalo mein kho gayee mein
najanay kb phir so gayee mein
No comments:
Post a Comment