Chalay Bhi Aao Chalay Bhi Aao
Kachi basti k baam-o-dar pe
Utarti jaarray ki zard shamen
Shafaq ki gehri udas Aankhon mein.
Dheeray dheeray simat'ta Suraj...!!
mein baalkoni mein sard hotay
Gulabi Phoolon ko dekhta hoon..!
Gharon se uth'tay Dhuwain k Badal
Fiza mein tehleel ho rahe hein....!
Mien sochta hoo
Na janay aisay udaas Mosam mein
Tum kahan ho..,?
Chalay bhi Aao....!!
Chalay bhi Aao....
K ab udaasi ki Shaal orhay
Sisaktay Mehtab ki nigahon mein
Tere jaanay ka Dukha likha he
Chalay bhi Aao...
k ab tw rahon k....
Narm Jugnoo bhi so gaye hien.....!
Chalay bhi Aao
k ab rotay raotay
yeh Aansu pathar k ho gaye hien.
No comments:
Post a Comment